Friday, 28 February 2020

Kisne kaha azad h hum, Bharat Desh Par Kavita

Kisne kaha azad hai hum
Kisne kaha azad hai hum,

Nahi huye azad abhi hum
Jis din mann mein na hoga koi darr,
Raat ko sadko par badhane mai kadam,
Uss din kahenge azad hai hum

Jis din desh mai na todega koi bhook se apna dum,
Uss din kahenge azad hai hum

Jis din es desh ke officers kahenge
Andar kar denge par rishwat nahi lenge hum,
Uss din kahenge azad hai hum

Azadi ke itne saalo baad bhi itni saari bediyo mai bandhe hai hum,
Phir bhi kehte hai azad hai hum

Hum jo karna chahte hai vo nahi kar pate hain,
Shayad isliye aaj bhi itne pichde hue hain hum

Poore desh ko toh sudhaarna chahte hai hum,
Par rajniti ke gande dal-dal mai utarkar
desh ki gandagi ko saaf nahi karna chahte hum

Jis din is desh kai naujawaan kahenge,
Es desh ka bhaar ab uthaenge apne kandho par hum,

Shayad uss din keh sakenge azad hai hum,
Shayad uss din keh sakenge azad hai hum

 

~ Priyanka Jain

The post Kisne kaha azad h hum, Bharat Desh Par Kavita appeared first on Shayari.

No comments:

Post a Comment