Tuesday 18 May 2021

Samajh nahi aata tu dard hai ya malham

Khwaabo ki ek lehar uthi, Duba jisme tann aur mann .
Tham sa gaya Wakt aur, Ruk se gaye kadam .

Na jane kis asamanjas mein, Ulajh chuka hai ​yeh bawla dil .
Samajh nahi aata tu dard hai ya malham .

Kaash na aate tum zindagi mein, Khushi ki bahaar lekar.
Kaash na jaate tum dil par yeh, Gehra ghaav dekar.

Kaash na milte kabhi ho, Jaate kahi ghum
Na jane kyun ujaad diya tumne, Ye sundar aur aabad chaman.

Jis se mila karti thi ronakbhari, Rahat tumhe kisi pal.
Har shaam hai roothi hui, Har din hai adhura .

Na jane kis asamanjas mein, Ulajh chuka hai yeh bawla dil.
Samajh nahi aata tu dard hai ya malham.

 

~ Kanchi Mistry

 

The post Samajh nahi aata tu dard hai ya malham appeared first on Shayari.

No comments:

Post a Comment